rasile khwab sare kho chuki hun bahut rukhi haqiqat ho chuki hun jagae koi suraj subh-e-nau ka purani raat sadiyon so chuki hun ghamon ko hans ke sahna aa gaya hai main apni har khushi ko ro chuki hun main apne dil ki banjar sar-zamin mein khushi ke bij kitne bo chuki hun bahut maili thi chadar zindagi ki use ashkon se apne dho chuki hun chala hai sath tanhai ka jangal tere hamrah jab se ho chuki hun amanat ye bhi lautai hai us ko badan ka bojh barson dho chuki hun raha kahne ko ab kya aur 'pinhan' ghazal se haal sab to kah chuki hun