hai teri hi kaenat ji mein ji tujh se hai teri zat ji mein tu ne kiya qatl go ba-zillat samjha main ise najat ji mein kyun gham ye mujhi pe mehrban hai sab shad hain zi-hayat ji mein is tang-dahan ke sukhan par yan guzre hain so nikat ji mein har-dam ba-hazar jalwa-e-nau dekhun hun teri sifat ji mein dam aankhon mein aa raha hai 'jurat' guzre hai ye aaj raat ji mein aa jawe to haal-e-dil suna len rah jae na ji ki baat ji mein