guzar is hujra-e-gardun se ho kidhar apna qaid-khana hai ajab gumbad-e-be-dar apna shakl rahne ki hai basti mein ye us bin apni jaise jangal mein banata hai koi ghar apna shab ki be-tabiyan kya kahiye ki dekha jo sahar tukde tukde nazar aaya hamein bistar apna ham-nashin us ko jo lana hai to la jald ki hum thame baithe rahen kab tak dil-e-muztar apna wo gae din ki sada mai-kada-e-hasti mein baada-e-aish se labrez tha saghar apna tab-e-nazzara teri lae na khurshid zara hath jab tak ki na rakh le wo jabin par apna denge sar ishq ke saude mein agarche hum ko is mein nuqsan nazar aata hai sarasar apna hai zamin khub ghazal-dar-ghazal is ko kahiye bas ki mamul hai 'jurat' yahi akasr apna