hai us gul-rang ka diwar hona ki jaise khwab se bedar hona batati hai mahak dast-e-hina ki kisi dar ka pas-e-diwar hona use rakhta hai sahraon mein hairan dil-e-shair ka pur-asrar hona kamal-e-shauq ka hasil yahi hai hamara shahr se be-zar hona firaq aaghaz hai un saaton ka hai aakhir jin ka wasl-e-yar hona yahi hona tha aakhir dasht-e-gham ko hamare hath se gulzar hona mohabbat ka sabab hai be-niyazi kashish us ki hai bas dushwar hona 'munir' achchha nahin lagta ye tera kisi ke hijr mein bimar hona