sare lahje tere be-zaman ek main is bhare shahr mein raegan ek main wasl ke shahr ki raushni ek tu hijr ke dasht mein karwan ek main bijliyon se bhari barishen zor par apni basti mein kachcha makan ek main hasraton se ate aasman ke tale jalti-bujhti hui kahkashan ek main mujh ko farigh dinon ki amanat samajh bhuli-bisri hui dastan ek main raunaqen shor mele jhamele tere apni tanhai ka raaz-dan ek main ek main apni hi zindagi ka bharam apni hi maut par nauha-khwan ek main us taraf sang-bari har ek baam se is taraf aainon ki dukan ek main wo nahin hai to 'mohsin' ye mat sochna ab bhatakta phirunga kahan ek main