hai us ka haq ye ho parmatma se jis ki lag kisi bhi shakhs ki miras to nahin bairag khamosh baitho na tum rakh ke hath par yun hath banao jehd-e-musalsal se aap apne bhag kiya fareb mohabbat se farsh walon ne barasti hai jo falak se mukhasamat ki aag nishat-o-gham ka ajab imtizaj hai in mein ye mere sans hi mere wajud ka hain rag ye tere azm ko manzil se qabl das lenge masafaton mein agar ham-safar hain khauf ke rag tamam shahr ke afrad so gae 'sair' mere zamir ki aawaz hai musalsal jag