dil mahw-e-intizar kabhi hai kabhi nahin

dil mahw-e-intizar kabhi hai kabhi nahin
sochon ka ek hisar kabhi hai kabhi nahin

khushiyon ki justuju mein hua aisa barha
sar par ghamon ka bar kabhi hai kabhi nahin

nashsha tere khulus ka ek bahr-e-be-karan
halka sa wo khumar kabhi hai kabhi nahin

jis pe gulon ke husn ka dar-o-madar hai
gulshan mein wo bahaar kabhi hai kabhi nahin

ghaarat hue hain jis ke sabab ahl-e-gulsitan
jalwon pe wo nikhaar kabhi hai kabhi nahin

rah-e-wafa mein haal-e-dil-e-zar ki na puchh
khud par bhi ikhtiyar kabhi hai kabhi nahin

ek kashmakash mein aaj-kal uljhi hai zindagi
wo rang-e-e'tibar kabhi hai kabhi nahin

aate hain zindagi mein kai aise daur bhi
maslak mein inkisar kabhi hai kabhi nahin

fihrist-e-jaan-nisaran mein khush-bakht aur hain
'sair' ka to shumar kabhi hai kabhi nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close