hai wahi daur-e-sitam mashq-e-sitam aaj bhi hai log zinda hain magar zist ka gham aaj bhi hai kis ko fursat hai ki mazlum ke aansu ponchhe wahi aansu hain wahi daman-e-nam aaj bhi hai meherban kahiye use ya ki sitamgar kahiye har sitam us ka ba-andaz-e-karam aaj bhi hai khun-e-mazlum ki tarikh likhi hai jis se hath mein mere wo bebak qalam aaj bhi hai jaise milne hi ko hai saya-e-daman tera na-umidi mein bhi ummid-e-karam aaj bhi hai ab bhi manzil pe pahunchna nahin aasan 'payam' rahguzaron mein wahi pech wo kham aaj bhi hai