har ek naqsh-e-qadam sham-e-farozan hota jata hai jahan se wo guzarte hain charaghan hota jata hai hain sadha chaak aisi zindagi bhi zindagi kya hai libas-e-zist aashiq ka gareban hota jata hai na puchho jaan-faza hai kitna husn-e-yar ka mausam ki jo manzar bhi hai subh-e-bahaaran hota jata hai sanam ko bhul kar dil kyon khuda ki samt mail hai khuda jaane ye kafir kyon musalman hota jata hai mubarak hain qadam ahl-e-wafa ke rah-e-ulfat mein ki in qadmon se rahon mein charaghan hota jata hai sitam ke baad izhaar-e-nadamat bhi hai kya kahiye sitam bhi karta jata hai pasheman hota jata hai 'payam' us ko main apnane ko jitna badhta jata hun khuda jaane wo kyon mujh se gurezan hota jata hai