hai wajh koi khas meri aankh jo nam hai bas itna samajhta hun ki ye un ka karam hai ye ishq ki mearaj hai ya un ka karam hai har waqt mere samne taswir-e-sanam hai kabe se talluq hai na but-khane ka gham hai hasil mere sajdon ka tera naqsh-e-qadam hai diwanon pe kis darja tera lutf-o-karam hai bakhsha hai jo gham tu ne wahi hasil-e-gham hai sar jab se jhukaya hai dar-e-yar pe main ne mehrab-e-khudi jalwa-gah-e-sham-e-haram hai kya kaam zamane se use ai shah-e-khuban taqdir mein jis ki teri furqat ka alam hai kaunain badal jae magar tu na badalna tere hi sabab ahl-e-mohabbat ka bharam hai palkon pe bikharte hain teri yaad ke moti har ashk-e-nadamat tera andaz-e-karam hai zahir mein koi kaba koi dair-o-kalisa baatin mein har ek chiz tera naqsh-e-qadam hai kar apni nazar se mere iman ka sauda ai dost tujhe meri mohabbat ki qasam hai ye umr guzar jae magar hosh na aae sar shauq-e-ibaadat mein dar-e-yar pe kham hai ai dost tere ishq mein pahuncha hun yahan tak aankhon mein sanam-khana hai sine mein haram hai kis tarah 'fana' chhodun sanam-khana-e-ulfat hasil mere iman ka didar-e-sanam hai duniya se nirali hai 'fana' maqtal-e-ulfat is maqtal-e-ulfat mein jo sar hai wo qalam hai