jis samay tera asar tha mujh mein baat karne ka hunar tha mujh mein subh hote hi sabhi ne dekha koi ta hadd-e-nazar tha mujh mein man batati hai ki bachpan ke samay kisi aaseb ka dar tha mujh mein jo bhi aaya kabhi wapas na gaya aisi chahat ka bhanwar tha mujh mein main tha sadiyon ke safar mein 'ahmad' aur sadiyon ka safar tha mujh mein