hai yaqinan ye koi raaz-e-mashiyyat warna

hai yaqinan ye koi raaz-e-mashiyyat warna
log karte hi nahin shahr se hijrat warna

us ki nafrat ka diya hum ne mohabbat se jawab
kam na thi khun mein kuchh apne bhi hiddat warna

tujh ko dekha to yaqin ho gaya ai mast-e-khiram
dekhta aankh se kaun apni qayamat warna

khun mein sab ke hai qabil ke khun ka unsur
nasl-e-adam ke liye wajh-e-halakat warna

ai 'sharar' main ne hi suraj se milai aankhen
kis ne ki mere siwa aisi jasarat warna


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close