diwana mujh sa kab jita hai kyun tadbir karte hain

diwana mujh sa kab jita hai kyun tadbir karte hain
koi din chalne-phirne den abas zanjir karte hain

hawa-e-garm ke lagne se kab patthar pighalta hai
ye nale in buton ke dil mein kab tasir karte hain

khuda ki bandagi kahiye use ya ishq-e-mashuqi
ye nisbat ek hai sau sau tarah tabir karte hain

diwane hain siyane chhod do tum naqsh ko un ke
parae ghar ki pariyon ke tain taskhir karte hain

nigah karne mein un ke kaam hota hai tamam us ka
'yaqin' ke haq mein ye khuban bahut taqsir karte hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close