hai ye mar mitne ka inam tumhein kya malum lazzat-e-dashna-e-ba-dnam tumhein kya malum tum ne dekhi hai faqat meri pareshan-haali mujh pe kya kya hue ikram tumhein kya malum hairati ho ke uthae hue dil phirte hain is ke lag jaane ka anjam tumhein kya malum jazba-e-khwahish-o-ehsas ki is bazi mein kaun ho jaega nakaam tumhein kya malum dekhte ho mujhe par-basta to hans dete ho hai yahan kaun tah-e-dam tumhein kya malum waqt ka rang badalte nahin dekha tum ne surat-e-gardish-e-ayyam tumhein kya malum mausam-e-mehr ke do-chaar baras dekhe hain sakhti-e-mausam-e-alam tumhein kya malum