hai ye to KHizan ne rup bhara hum jis ko bahaaran kahte hain

hai ye to khizan ne rup bhara hum jis ko bahaaran kahte hain
bas ek nazar ka dhoka hai sab jis ko gulistan kahte hain

izzat bhi hai daulat bhi par aadamiyat ka nam nahin
hum kis ko hindu kahte hain hum kis ko musalman kahte hain

kuchh der ho to hum sabr karen andher nahin dekha jata
hai apne ghar mein aag lagi sab jis ko charaghan kahte hain

ai sath safar karne walo thahro na yahan aage ko badho
hum jis ko manzil samjhe hain sab bhul-bhulayyan kahte hain

jab aql mujhe samjhati hai behosh na ho nadan na ban
dil se gham-e-jaanan kahta hai us ko gham-e-dauran kahte hain

hain dafn yahan daulat wale taqat wale izzat wale
qudrat ka dafina hai jis ko hum gor-e-ghariban kahte hain

pi ghafil ab parhez na kar kuchh talkh sahi kuchh tez sahi
le de ke yahi hai ek dawa-e-gardish-e-dauran kahte hain

maikhane ke phere karta hai ab waiz 'bekhud' sunte hain
us ne bhi shayad bandh liya paimane se paiman kahte hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close