hail hai hijab-e-sharm-o-haya didar to kya guftar to kya mubham hain ishaare sab us ke inkar to kya iqrar to kya altaf-o-karam ki barish bhi jo mujh pe kare sansar to kya jab us ne na puchha haal mera daryaft karen aghyar to kya hai dar-ba-dari qismat meri shorida-sari tu hi le chal taskin-e-dil-e-mahzun ke liye gulzar to kya kohsar to kya hain azm-e-musafir ke aage khatraat masafat hech bahut manzil ki talab hai dil mein agar ho rahguzar dushwar to kya tang aa ke mohabbat tark na ki hum garche rahe nakaam sada sarshaar the lazzat-e-hasrat-o-gham se hote bhala bezar to kya