hail hain meri rah mein ye dair-o-haram kyon badhta hun to har gam pe rukte hain qadam kyon jo haq ki himayat mein nikal aata hai ghar se us mard-e-mujahid ko ho andesha-e-gham kyon ye rahbar-e-manzil hain nishan in se milega rahon se mitate ho mere naqsh-e-qadam kyon mahfil ki nigahen to hain markuz unhin par khamosh nazar aate hain aazar ke sanam kyon main ne unhen apna kaha apna hi to samjha wo chahte hain karna mere sar ko qalam kyon jo baat bhi haq hogi wahi baat kahenge munsif se karen hum koi ummid-e-karam kyon sad-shukr ki tu ne mujhe insan banaya gham hi meri qismat hai to ye bhi mujhe kam kyon qudrat ne tumhein aish-o-masarrat se nawaza 'maqsud' nazar aate ho ba-dida-e-nam kyon