gham-e-bahaar mein rah-e-khizan se guzre hain dilon ke qafile har imtihan se guzre hain junun ki raushni le kar nigahban-e-hayat hudud-e-zulmat-e-wahm-o-guman se guzre hain charagh ban ke jale hain rah-e-tamanna mein bahaar ban ke tere gulsitan se guzre hain wahan nigah-e-talatum pahunch nahin sakti sitam-kashon ke safine jahan se guzre hain musafiran-e-haram ko khabar nahin ab tak bala-kashan-e-mohabbat kahan se guzre hain teri talash mein dair-o-haram ka zikr hi kya teri talash mein har aastan se guzre hain hamein to un ke sitam bhi garan nahin 'faruq' mizaj-e-naz pe shikwe garan se guzre hain