hain baam-o-dar ke jism kaTe aur jale hue

hain baam-o-dar ke jism kate aur jale hue
galiyon ke pairahan hain lahu mein bhare hue

jangal ki raat ho gai aabaadiyon ki raat
hain kunj-kunj khauf-zada jagte hue

ai ahl-e-shahr aisi bhi kya be-rukhi ki hum
pardes to khushi se nahin the gae hue

main wo nahin raha ki ye wo shahr hi nahin
yar aashna kahan ki hain dushman khinche hue

hum ko bhi tum se pursish-e-gham ki umid thi
duniya mein tum se dur kai hadse hue

sab gham-zada hain kis pe guman kije qatl ka
maqtul ke janaze mein sab hain gae hue

kaisa gila kahan ka taqaza kahan sawal
wo sar se panw tak hain taghaful bane hue

phirte ho kis ko puchhte 'qaisi' ke nam se
us shakhs ko zamana hua hai mare hue


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close