hain hum bhi khub chah ka saman kiye hue baithe hain ghar ko pahle hi viran kiye hue dhoke mein aa ke bagh-e-jahan mein chale gae dil mein guman-e-kucha-e-jaanan kiye hue baitha hun roz-e-hijr mein har ek ghadi pe main azm-e-shumar-e-reg-e-bayaban kiye hue pas un ko rahwe apne jo namus-o-nang ka hum bhi phirenge chaak gareban kiye hue 'arif' bata ki sar hai ye kis din ke waste phirta hai aaj tegh wo uryan kiye hue