hain jalwa-e-tan se dar-o-diwar basanti poshak jo pahne hai mera yar basanti kya fasl-e-bahaari ne shagufe hain khilae mashuq hain phirte sar-e-bazar basanti genda hai khila bagh mein maidan mein sarson sahra wo basanti hai ye gulzar basanti us rashk-e-masiha ka jo ho jae ishaara aankhon se bane nargis-e-bimar basanti gendon ke darakhton mein numayan nahin gende har shakh ke sar par hai ye dastar basanti munh zard dupatte ke na aanchal se chhupao ho jae na rang-e-gul-e-rukhsar basanti khilti hai mere shokh pe har rang ki poshak udi, agari, champai, gulnar, basanti hai lutf hasinon ki do-rangi ka 'amanat' do chaar gulabi hon to do chaar basanti