mujhe un se mohabbat ho gai hai meri bhi koi qimat ho gai hai wo jab se multafit mujh se hue hain ye duniya khubsurat ho gai hai chadhaya ja raha hun dar par main bayan mujh se haqiqat ho gai hai rawan dariya hain insani lahu ke magar pani ki qillat ho gai hai mujhe bhi ek sitamgar ke karam se sitam sahne ki aadat ho gai hai haqiqat ye hai hum kya uth gae hain wafa duniya se rukhsat ho gai hai gham-e-jaanan mein jab se mubtala hun gham-e-dauran se fursat ho gai hai ab un ki kufr-samani bhi 'atish' dil-o-jaan par ibarat ho gai hai