hain jitni KHub-surat utni hi hain bewafa dekho

hain jitni khub-surat utni hi hain bewafa dekho
'sada' bas dur hi se in hasinon ki ada dekho

makin ai shaikh sahib har makan mein hai khuda dekho
bahut dhundha hai ka'be mein zara ab but-kada dekho

karo mat fikr marne ki ki marna to musallam hai
magar marne se pahle zindagi ka har maza dekho

'ibaadat ho rahi hai is jahan mein kaise kaison ki
khuda but ban ke baitha hai bane hain but khuda dekho

bura sab se wahi hai jo bura auron ko kahta hai
burai dekhne walo kabhi to aaina dekho

banaya aadmi jis ne kahan hai wo khuda bolo
banae aadmi ne to hazaron hain khuda dekho

bache jurm-e-ghurur-e-parsai se bhi hum wa'iz
maze ke sath sath in laghzishon ka faeda dekho

abhi se kyon pareshan ho jahan ki kaj-adai par
abhi hai ibtida dekhi abhi tum intiha dekho

khuda ka nam bhi lete chalo tum sath ke sath ab
chali aae na jaane kis ghadi kis pal qaza dekho

na kuchh ‘ilm-e-‘aruz us ko na hai ahl-e-zaban hi wo
bana phirta hai nahaq hi 'sada' naghma-sara dekho


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close