hain jitni parten yahan aasman mein shamil sabhi huin meri had ki udan mein shamil badha hai shahr mein rutba zara hamara bhi hue hain jaise hum un ke bayan mein shamil uchhaal yun hi nahin badh gai hai lahron ki nadi ka zor bhi hai kuchh dhalan mein shamil dhuan ghubar parinde tapish ghutan khushbu hain bojh kitne hawa ki thakan mein shamil thin qist jitni bhi khwabon ki be-hisab padi kiya hai nind ne sab ko lagan mein shamil suna hai nam se tere hain bikte afsane mujhe bhi kar le kabhi dastan mein shamil zara si dosti ki hum se qafiyon ne kiya kiya ghazal ne hamein khandan mein shamil