haqiqaton se kabhi inhiraf mat kije qusur jis ka ho us ko muaf mat kije kisi buzurg ke chehre pe kuchh nahin likkha adab to kijiye us ka tawaf mat kije khata ho aap ki to kijiye ise taslim khata na ho to kabhi e'tiraf mat kije muahida ho talluq ho inkisari ho kabhi mizaj ke apne khilaf mat kije wo ghar ka raaz ho ya doston ki baaten hon kisi pe un ka kabhi inkishaf mat kije ghazal ishaaron kinayon ka nam hai 'gauhar' ghazal mein baat koi saf saf mat kije