hain kaise kaise marahil guhar se aage bhi ghazal kuchh aur hai kar-e-hunar se aage bhi ye shoabde ka tajassus na khatm hoga kabhi jahan hoga jahan-e-digar se aage bhi bhare julus mein goli se mara jaunga main sochta hun khuda-e-bashar se aage bhi ye ird-gard ke manzar mere shanasa hain guzar hua hai isi rahguzar se aage bhi wara-e-chashm manazir ki khoj jari rakh nazar badha zara hadd-e-nazar se aage bhi ek aur jism hai meri nazar mein tujh sa hi ek aur rang hai rang-e-sahar se aage bhi aziyyaten hain moharram ke baad bhi kitni safar mazid hain mah-e-safar se aage bhi parai aankh ki putli sahaara kya deti wahan ek aur bhanwar tha bhanwar se aage bhi khule hain raaz kai mere qatl ke mujh par padhi hai main ne kahani khabar se aage bhi