hain mere wajud mein maujzan meri ulfaton ki nishaniyan na huin nasib jo qurbaten unhin qurbaton ki nishaniyan thaki haari shakl nidhaal si kisi imtihan ke sawal si mere jism-o-jaan pe sabt hain teri furqaton ki nishaniyan kabhi aankhen ghaiz se tar-ba-tar kabhi lan-tan zaban par mujhe meri jaan se aziz hain teri nafraton ki nishaniyan ho wo bu-e-gul ki ho ragni ho wo aabshaar ki chandni hain qadam qadam pe saji huin teri nuzhaton ki nishaniyan kai bar roz kai jagah meri ruh padhti hai fatiha mere pure jism mein dafn hain meri hasraton ki nishaniyan kahin nachti huin mastiyan kahin bhuk se hain ladaiyan kahin daulaton ke muzahire kahin ghurbaton ki nishaniyan wo zamin ho ki ho aasman wo pahad hon ki hon wadiyan hain chahaar samt mere khuda teri rahmaton ki nishaniyan