nashsha-e-shauq hai fuzun shab ko abhi sahar na kar dekh hadish-e-dil-baran itni bhi mukhtasar na kar sara hisab-e-jaan-o-dil rakkha hai tere samne chahe to de aman mujhe chahe to darguzar na kar apnon se haar jit ka kaise karega faisla ai mere dil thahar zara ye jo muhim hai sar na kar us ka ye husn wahm hai tera ye ishq hai guman itna yaqin dil mere wahm-o-guman par na kar hijrat-e-nau ka masala badhte qadam na rok le so meri jaan safar mein rah dar-e-fana mein ghar na kar itna to waqt de kabhi khud se karun mukalima ai meri umr-e-tez-rau aise mujhe basar na kar meri udan hai mare rabb-e-karim ki ata yun mere zid mein muntashir apne ye baal-o-par na kar