hain na zindon mein na murdon mein kamar ke aashiq na idhar ke hain ilahi na udhar ke aashiq hai wahi aankh jo mushtaq tere did ki ho kan wo hain jo rahen teri khabar ke aashiq jitne nawak hain kaman-dar tere tarkash mein kuchh mere dil ke hain kuchh mere jigar ke aashiq barhaman dair se kabe se phir aae haji tere dar se na sarakna tha na sarke aashiq aankh dikhlao unhen marte hon jo aankhon par hum to hain yar mohabbat ki nazar ke aashiq chhup rahe honge nazar se kahin anqa ki tarah tauba kije kahin marte hain kamar ke aashiq be-jigar marka-e-ishq mein kya thahrenge khate hain khanjar-e-mashuq ke charke aashiq tujh ko kaba ho mubarak dil-e-viran hum ko hum hain zahid usi ujde hue ghar ke aashiq kya hua leti hain pariyan jo balaen teri ki pari-zad bhi hote hain bashar ke aashiq be-kasi dard-o-alam dagh tamanna hasrat chhode jate hain pas-e-marg ye tarke aashiq be-sabab sair-e-shab-e-mah nahin hai ye 'amir' ho gae tum bhi kisi rashk-e-qamar ke aashiq