aankhen hain josh-e-ashk se panghat ashk phirte hain in mein jaise rahat main na samjha tha khub tere tain hai tu mutrib pisar bada nat-khat pi gae hum surahi-e-mai ko dast-e-saqi se lete hi ghat-ghat tera tir-e-nigah hai wo kafir munh se ek dam juda tu kar ghungat samjhe the mar aap dekhi thi aaine mein kisi ki zulf ki lat jis ko kahte hain arsa-e-hasti tausan-e-umr ki hai ek sarpat 'mushafi' us ke rukh pe khat aaya gae we din gai wo rut hi palat jam ke baithe na tha jahan koi raat din ab rahe hai wan jamghat