hain sar-nigun jo tana-e-khalq-e-khuda se hum kya ho gae kisi ki mohabbat mein kya se hum ab tak kabhi ke mit gae hote jafa se hum zinda hain ai 'rashid' kisi ki dua se hum yaad aa gae jab apne gale mein wo dast-e-naz roe lipat lipat ke tere naqsh-e-pa se hum bimar-e-dard-e-hijr ki pursish se faeda achchhe hain ya bure hain tumhaari bala se hum paida hue hain phir se ye samjhenge ai 'rashid' jite bache jo chaaragaron ki dawa se hum