hain sare inkishaf apne hain sare mumkinat apne hum is duniya ka sara ilm le jaenge sat apne chamak waisi na mathe par damak waisi na chehre par sitare kis ke ghar jaane luta aai hai raat apne na hogi dilkashi duniya mein ek din wo bhi aaega ki sare raaz ugal degi kisi din kaenat apne nahin gar dekh sakti maut se ladte hue mujh ko to phir ai zindagi le ja tu sare iltifat apne khula hai umr ki sham-e-hazin mein raaz ye 'pashi' ki har dam maut ko bhi sath rakhti hai hayat apne