kabhi ranj-o-gham to kabhi be-kasi hai meri zindagi bhi ajab zindagi hai gila kya karun un ke zor-e-sitam ka hamesha se un ki ye aadat rahi hai mohabbat mein jina mohabbat mein marna meri zindagi ka aqida yahi hai hua kya hai aakhir hamein bhi pata ho bhala hum se kyon aaj ye be-rukhi ho agarche gham-e-dahr ka samna hai magar mere honton pe phir bhi hansi hai bayan kya karun kaifiyat dil ki 'asi' mohabbat mein ab jaan par aa bani hai