hain sare jurm jab apne hisab mein likhna sawal ye hai ki phir kya jawab mein likhna bura sahi main pa niyat buri nahin meri mere gunah bhi kar-e-sawab mein likhna raha saha bhi sahaara na tut jae kahin na aisi baat koi iztirab mein likhna ye ittifaq ki manga tha un se jin ka jawab wo baaten bhul gae wo jawab mein likhna hawa-mahl mein sajaya tha tum ne jab darbar koi gharib bhi aaya tha khwab mein likhna na bhulna ki 'umar' hain ye doston ke hisab kabhi na padhna jo dil ki kitab mein likhna