hain sham hi se ranj-o-qalq jaan par ab to hum ko nahin ummid ki pakden sahar ab to diwana koi hoe to ho us ki bala se apne hi pari-pan pe padi hai nazar ab to sae se chahak jate the ya phirte ho shab-bhar wallah ki tum ho gae kitne nidar ab to jaan ko to khabar bhi nahin upar hi se upar dil le gai is shokh ki nichi nazar ab to mai-khana-o-mai-e-ishq-e-butan aur ye sin-o-sal 'tanwir' khuda ka bhi zara khauf kar ab to