pani bharte jate hain darshan karte jate hain dil mein lagi taswiron ke rang utarte jate hain khali mashkizon ke sath aahen bharte jate hain dhundli aankhon ke pichhe khwab bhi marte jate hain ghazal ki sidhi par chadhte darte darte jate hain jaise pyaz ke chhilke hon bhed utarte jate hain ashk agarbatti aur phul qabr pe dharte jate hain