hain siyah abr ke sae tere gesu ki tarah

hain siyah abr ke sae tere gesu ki tarah
jalwa-gar qaus-e-quzah hai tere abru ki tarah

zehn-o-dil hosh-o-khirad fahm-o-shuur-o-idrak
le gai un ki nazar lut ke jadu ki tarah

main to kuchh bhi nahin zulmat-kada-e-hasti mein
hun faqat ek chamakte hue jugnu ki tarah

mah-e-nau ka nazar aata hai falak par jo dimagh
hu-bahu jalwagari hai teri abru ki tarah

jaane kya tutta rahta hai mere sine mein
gunj aati hai chhanakte hue ghungru ki tarah

ek na ek din mujhe mahsus kiya jaana hai
main chaman mein hun bikharti hui khushbu ki tarah

waqt ki aankh se kya jaaniye kab gir jaun
main hun palkon pe larazte hue aansu ki tarah

tum ne dekha to laga tum ko diwana 'sajid'
hum ne dekha to dikhai diya sadhu ki tarah


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close