hain us ke samne ai 'shauq' kis shumar mein phul khile hon jis ke kaf-e-pa se regzar mein phul main ek khar hun lekin nasib dekho to liye hain chaaron taraf se mujhe hisar mein phul mila bhi kaam to aaraish-e-chaman ka mila tamam umr rahe mere karobar mein phul kabhi jo main ne manaya junun mein jashn-e-bahaar piro liye hain gareban ke tar tar mein phul mere lahu se hai rang-e-bahaar maqtal mein lutae jate hain jashn-e-salib-o-dar mein phul chaman ko de ke lahu 'shauq' main ne kya paya na ikhtiyar mein kante na ikhtiyar mein phul