chaDh ke dar-o-rasan par ye kya de gaya

chadh ke dar-o-rasan par ye kya de gaya
ek diwana dars-e-wafa de gaya

us ko qatil kahun ya masiha kahun
zahr de kar jo mujh ko dawa de gaya

rah-e-ulfat mein jab gul khilana pada
kaam talwon ka har aabla de gaya

hum ne manga tha ulfat-bhara ek dil
koi tuta hua aaina de gaya

aansuon ke samandar nahana pada
koi hansne ki aisi saza de gaya

naz' ke waqt ki de ke bechainiyan
mujh ko jine ki zalim du'a de gaya

'shauq' chhu lun to mitti bhi sona bane
'ishq wo nuskha-e-kimiya de gaya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close