hain wasl mein shokhi se paband-e-haya aankhen allah-re zalim ki mazlum-numa aankhen aafat mein fansaengi diwana banaengi wo ghaaliya-sa zulfen wo hosh-ruba aankhen kya jaaniye kya karta kya dekhta kya kahta zahid ko bhi meri si deta jo khuda aankhen rahm un ko na aaya tha to sharm hi aa jati be-dad ke shikwe par jhuktin to zara aankhen tum jaan ko kho baitho ya aankhon ko ro baitho 'bekhud' na milaenge wo tum se zara aankhen