dhyan mein aa kar baith gae ho tum bhi nan mujhe musalsal dekh rahe ho tum bhi nan de jate ho mujh ko kitne rang nae jaise pahli bar mile ho tum bhi nan har manzar mein ab hum donon hote hain mujh mein aise aan base ho tum bhi nan ishq ne yun donon ko aamez kiya ab to tum bhi kah dete ho tum bhi nan khud hi kaho ab kaise sanwar sakti hun main aaine mein tum hote ho tum bhi nan ban ke hansi honton par bhi rahte ho ashkon mein bhi tum bahte ho tum bhi nan meri band aankhen tum padh lete ho mujh ko itna jaan chuke ho tum bhi nan mang rahe ho rukhsat aur khud hi hath mein hath liye baithe ho tum bhi nan