hairan na ho dekh main kya dekh raha hun bande teri surat mein khuda dekh raha hun wo apni jafaon ka asar dekh rahe hain main mani-e-taslim-o-raza dekh raha hun duzdida nigahon se kidhar dekh rahe ho kya baat hai! ye aaj main kya dekh raha hun hai husn yahi shai to guman aur na kije sauda nahin matlub zara dekh raha hun kis tarah na qail hun dua-e-sahari ka us lab pe tabassum ki ziya dekh raha hun kyun arz-e-watan tang hai ye baat hi kya hai ab to faqat ek qabr ki ja dekh raha hun mar jaane ki dhamki hui tamhid-e-tamasha main ne kaha dekh us ne kaha dekh raha hun