hai azal ki is ghalat bakhshi pe hairani mujhe ishq la-fani mila hai zindagi fani mujhe main wo basti hun ki yaad-e-raftagan ke bhes mein dekhne aati hai ab meri hi virani mujhe thi yahi tamhid mere matami anjam ki phul hanste hain to hoti hai pashimani mujhe husn be-parda hua jata hai ya rab kya karun ab to karni hi padi dil ki nigahbani mujhe bandh kar roz-e-azal shiraaza-e-marg-o-hayat saunp di goya do aalam ki pareshani mujhe puchhta phirta tha danaon se ulfat ke rumuz yaad ab rah rah ke aati hai wo nadani mujhe