hairan sara shahr tha jis ki uDan par

hairan sara shahr tha jis ki udan par
panchhi wo phad phada ke gira saeban par

shayad usi se zehan ka jangal mahak uthe
lafzon ke gul khilaiye shakh-e-zaban par

kis dil ki rakh juzw-e-rag-e-sang ho gai
suraj-mukhi ka phul khila hai chatan par

ek din use zamin ki kashish khinch laegi
kab tak rahega tera khayal aasman par

aawaz ki mahak na kabhi qaid ho saki
pahre lage hazar gulon ki zaban par


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close