hairat-maab hun ki ye kya dekhta hun main ai sahib-e-jamal tera aaina hun mein rang-e-tilism-e-alam-e-taswir hai hayat aur is nigar-khane mein gum ho chuka hun main aankhon mein ek charagh-e-tamanna liye hue tarikiyon ke shahr mein kya dhundhta hun main aatish-mizaj tha wo so ab khak ho chuka main khaksar tha so numu pa raha hun main fikr-e-rasa mein umr meri sarf ho gai ab sochne laga hun bahut sochta hun main