manzil thi ek taraf to safar dusri taraf ek samt pair uthe the nazar dusri taraf ek samt khinchti hai meri zindagi mujhe le jata hai junun magar dusri taraf aawargi ka lutf to be-maegi mein hai chhod aaya hun main rakht-e-safar dusri taraf ye ahd-e-na-murad bhi kya shai hai meri jaan dil ek taraf hai to nazar dusri taraf