hairaton ke silsile soz-e-nihan tak aa gae hum nazar tak chahte the tum to jaan tak aa gae na-muradi apni qismat gumrahi apna nasib karwan ki khair ho hum karwan tak aa gae un ki palkon par sitare apne honton pe hansi qissa-e-gham kahte kahte hum kahan tak aa gae zulf mein khushbu na thi ya rang aariz mein na tha aap kis ki aarzu mein gulsitan tak aa gae rafta rafta rang laya jazba-e-khamosh-e-ishq wo taghaful karte karte imtihan tak aa gae khud tumhein chaak-e-gareban ka shuur aa jaega tum wahan tak aa to jao hum jahan tak aa gae aaj 'qabil' mai-kade mein inqalab aane ko hai ahl-e-dil andesha-e-sud-o-ziyan tak aa gae