mustaqil mahw-e-gham-e-ahd-e-guzishta hona aise hone se to behtar hai na dil ka hona main hun insan mujhe insan hi rahne dije mat sikhaen mujhe har gam farishta hona dekhni padti hain har mod pe udhdi lashen kitna dushwar hai is shahar mein bina hona ai musawwir zara taswir mein manzar ye utar do kinaron ko hai dekha gaya yakja hona hain faraham mujhe be-rah-rawi ke asbab zeb dega mujhe aawara-e-duniya hona bastiyan shahr-e-khamoshan ki tarah hain aabaad zinda logon ko lubhane laga murda hona ai pari-zad tere hijr mein ye hum pe khula maut se ziyaada alam-bakhsh hai tanha hona khud hi gir jaegi zindan-e-badan ki diwar ruh-e-afsurda ko bechain bhala kya hona kha gaya raunaqen paiwand-o-marasim ki 'nadim' jins-e-ikhlas ka bazar mein sasta hona