halak-e-jafa-o-wafa ho raha hun ki ek banda-e-be-khuda ho raha hun nahin ye junun-e-mohabbat nahin hai main aap aap se aashna ho raha hun mera har qadam naqsh-e-rah-e-talab hai teri rah ka rahnuma ho raha hun udhar karb ki manzilen badh rahi hain idhar dard-e-dil ki dawa ho raha hun na chhedo abhi saz-e-ulfat pe naghma abhi apne dil ki sada ho raha hun yahi hai yahi shewa-e-ishq hamdam main khud mubtala-e-jafa ho raha hun jabin rakh ke saqi ke qadmon mein 'jauhar' khuda jaane ab kya se kya ho raha hun