ham-palla mere aaj sikandar bhi nahin hai ek saltanat-e-husn mere zer-e-nagin hai wo hosh se begana ho to dekh le jis ko kya chiz hai jadu jo nigahon mein nahin hai dur itna ki duniya-e-takhayyul mein na aae wo pas hai utna ki rag-e-jaan se qarin hai tere rukh-e-taban ka nigahban hai kakul nazzara-kunan kufr ki aaghosh mein din hai is bab mein kaamil hai yaqin mujh ko to 'jauhar' sab kuchh sahi wo ahd-faramosh nahin hai